|
Shubh sukh chain ki varsha barsay, Bhaarat bhaagya
hai jaaga!
Punjab, Sindh, Gujarat, Maratha, Draavid, Utkal, Banga
Chanchal saagar, Vindhya, Himalay, neela Yamuna Ganga
Teray nit gun gaayen, tujhsay jeevan paayen,
Sab jan paayen aasha !
Sooraj ban kar jag mein chamkay, Bhaarat naam subhaaga !
Jai ho, jai ho, jai ho Jai-jai-jai-jai-ho !!
Sab kay dil mein preet basaaye teri meethi baani
Har soobay kay rehnay waalay, har mazhab kay praani
Sab bhayd aur farq mitaakay, sab goad mein teri aakay,
Goondhein prem ki maala!
Sooraj ban kar jag mein chamkay, Bhaarat naam subhaaga !
Jai ho, jai ho, jai ho Jai-jai-jai-jai-ho !!
Subah saberay pankh pakheru teray hi gun gaayen
Baas bhari bharpoor hawaayen jeevan mein ritu laayen
Sab milkar Hind pukaaray, Jai Aazaad Hind kay naaray,
Pyaara desh hamaara !
Sooraj ban kar jag mein chamkay, Bhaarat naam subhaaga !
Jai ho, jai ho, jai ho Jai-jai-jai-jai-ho !!
|